jump to navigation

Ae Dil-e-Nadan tujhe hua kya hai,Aakhir is dard ki dawa kya hai November 13, 2008

Posted by Guru Prasad Kotyan in Uncategorized.
trackback

Tere hote hue bhi tenhai mili hai,Wafa kar ke bhi bewafai mili hai…. Jitni dua ki tumhe paane ki.Us se jyada judai mili hai….

Unko pyar karne ka hisab na aayega,Meri kisi bhi baat ka jawab na aayega… Hum to jagte rahenge unke hi khayaalon me,Aur unko so kar bhi hamara khawab na aayega…

Dard mein koi Mausam pyara nahi hota, Dil ho Pyasa to Panise gujara nahi hota, Dekhe zara koi Bebasi humari, Hum uske ho jate hain jo humara nahi hota

Khuda ne jab ishq banaya hoga, to khud bhi zaroor ajmaya hoga, Hamari to aukaat hi kya hai, Is ishq ne khuda ko bhi zaroor rulaya hoga.

yuhi kabhi sapno ko dilse lagaya karo,kisi ke khwabon mein aaya jaya karo; jab bhi ji ho ki koi tumhe bhi manaye, bas hume yaad karke rooth jaaya karo…

Har sagar k do kinare hote hain, Kuch log jaan se bhi pyare hote hain, yeh zaruri nahin har koi pass ho, Kyunki zindagi mein yaadon ke bhi sahaare hote hain….

Khudko Zameen Tujhe Aasman kehte hain, teri Khushi ko apna Armaan kehte hain, Kehne waale tumhe mera dost kehte hain, par hum to tumhe apni JAAN kehte hain.

Ajmaish Pyar Main Jaruri hoti hai. Na mil paana kisi ki majboori hoti hai. yaad door se dost ko kar to sakte hai. lekin Dil ki hasarat to mulakat se puri hoti hai.

Hoton pe hansi, aankho mein Khushi, gam ka kahin naam na ho, aap ke liye, har pal le aaye itni Khushi, Jiski kabhi shaam na ho.

Zindagi ki raahon pe jab aage jaoge,Picche ek saaya tum har dam paoge… Mud ke dekhoge to tanhai hogi,Agar mehsus karoge to hume paoge…

Naaraz hona aapse galti kehlayegi,Agar aap humse naraz ho to yeh saanse tham jayengi… Hanste rehna hamesha yu hi,Aapki hansi se kisi ki zindagi me bahaar aayegi….

Kabhi zarurat pade to sabse pehle hume awaaz dena,Agar koi shaq ho to aazma lena…. Zindagi tumhare liye chod denge,Maut hamare liye chod dena….

Jeena chahte hain magar zindagi raas nahi aati,Marna chahte hain magar maut paas nahi aati… Bahut udas hain hum is zindagi se,Unki yaadein bhi to tadpane se baaz nahi aati…

Mere dost pehle sher sunate hain,Phir puchte hain tujhe ye kaha se milte hain… Unka bhi dil meri tarah tuta hua ho to,Unhe pata chale yeh to tanhaiyon se milte hain…

Palkon ki is luka-chhipi ko dil kehta hai main pyaar maan loon… Na keh ke woh hans deti hai,Kaise main inkaar maan loon….

Bahut chaha magar unhe bhula na sake,Khayalon me kisi aul ko la na sake…. Kisi ko dekh ke aansu to poch liya,Par kisi ko dekh ke muskura na sake….

Mit gaye hain sab zakham,Bas nishaan baaki reh gaya…. Saza puri ho gayi,Karna gunaah baaki reh gaya….

Khushi mile to baat lenge hum,Gam ke andhere ko bator lenge hum…. Tum na karna apni aankhein nam,Tere badle ro lenge hum….

Tamanna hai ki unko najdik se dekhein,Najdik ho to nazar uthayi nahi j ag hi aisi hai,Lag jaati hai lagayi nahi jaati……

Bikhre ashko ke moti hum piro na sake,Uski yaad me saari raat so na sake…. Beh na jaaye aansuon me tasvir uski,Bus yahi soch kar hum ro na sake….

Chand lamhon ki zindagani hai, nafraton se jiya nahi karte, lagta hai dusamanon se guzarish karni padegi, dost to aab yaad kiya nahi karte

Teri Tasweer meri Ankhon main Basee kyun hai Jidhar dekho bus udhar tu hi kyun hai Teri yadoon say wabasta meri takdeer hai lekin Tujhe naa paa ker meri takdeer roothi kyun hai Mujh ko hai khaber asaan nahin tujhe haasil karna phir bhi yeh intizaar yeh bekarari kyun hai Barson guzar gaye meray tanhayee main lekin Meri baanhon ko aaj bhi tera intizaar kyun hai Teri chahat ki kasam khoon kay aansoon royaa hon Ab nahin hai kuch bakee phir yeh jaan bakee kyun hai..

Yeh raate itni tanha kyon hoti hai, sabko apne kismat se shikayat kyo hoti hai, yeh kismat bhi ajeeb khel khelti hai, jise hum paa nahi sakte usi se hume muhabbat kyon hoti hai.

vaadon par wo aitbar nahi karte, hum zikre mohabbat sare bazar nai karte,darta hai dil unki rusvaai se aur woh sochte hai ki hum unhe pyar nahi karte.

Har Khushi kam hai, Tera Ghum Bholane Ke Liye, Ek Tera Hi Ghum Bus Hai, Zindagi Bher Rulane Ke Liye

Ae Dil-e-Nadan tujhe hua kya hai,Aakhir is dard ki dawa kya hai…. Hum ko unse hai wafa ki ummed,Jo nahi jaante ki wafa kya hai….

Saathi sirf woh nahi hota jo jivan bhar saath nibhaye…. Saathi to woh bhi hai jo jivan ke kuch palo mein bhi jivan bhar ka saath de jaaye….

Ek hi tamanna hai is fakir ke paas,Meri tasvir lagana apni tasvir ke paas… Taki dekhe to log kahe,Dekho Raanjha kaise baitha hai apni Heer ke paas…

Abhi to Baaj ki asali udaan baaki hai,Abhi to aapka imtihan baaki hai… Abhi tak to aapne jami dekhi hai,Abhi to pura aasmaan baaki hai….

Kis Khuda se teri wafa ki taarif maange,Kis pal se tumhe milne ki taarikh maange…. Mujhe dar hai tumhe khnoe ka,Kis Khuda se tumhe paane ka naseeb maange….

Na kabhi yeh chupaya ki pyar kitna hai,Na kabhi yeh jataya ki dard kitna hai… Bas ek hame aur us Khuda ko malum hai ki aapse mulaqat ka intezar kitna hai…

duniya jise neend kahti hai , jaane woh kya cheez hoti hai………. aankhe to hum bhi band karte hai , par woh unse milne ki tarkib hoti hai…

mohabbat mujhe thi ussi se sanam, yado me uski tadapta raha, maut bhi na rok sahi meri chahat ko, kabr me bhi ye dil dhadhakta raha

Dil Ne tere pyaar per majboor mujhe kar diya Is jahan ki har khooshi se dhoor mujhe kar diya Jis qadar chaha tha dil ne paas tere aane ka Us qadar dunya ne tujh ko dhoor mujh se kar diya

kal humare aangan mein chaand utra, sitaron ko gavara naa tha, hum to sitaron se bhi bagawat kar lete, par kya karte chaand hi humara naa tha.

Aankho me rahne walo ko yaad nahi karte, dil me rehne walo ki baat nahi karte. Humari to rooh me bas gaye aap, tabhi to hum milne ki fariyad nahi karte.

TADAP K DEKHO KISI KI CHAHAT ME,TO PATAA CHALE K INTEZAR KYA HOTA HAI, YUN HE MIL JAYE KOI BINA CHAHE ,TO KAISE PATAA CHALE K PYAAR KYA HOTA HAI.

Aapke shaher me kaali ghata to chati hogi, phoolon ko thodi si sharam to aati hogi, aap lakh chupaye duniya se magar, akele me hamari yaad to aato hogi…

Kalam uthaya lafz nahi milta,Jisko dhund rahe hain woh shakhs nahi milta…Phirte hain woh zamane ki talaash me,Bas hamare liye unhe waqt nahi milta….

Mehfil na hoti, nazare na hote, yun chand ke pehlu mein sitare na hote. Hum isliye karte hai apki parvah kyonki dil ke karib sare nahi hote..!

Jab Kabhi apko koi gam sataye, koi baat dil ko na bhaye, aankhen sagar chalkaye, yaad karke dekhna hame, kya pata ek aansu kam ho jaye.

Dost hain to aansuon ki bhi shaan hoti hai,Dost na ho to mehfil bhi shamshaan hoti hai….Sara khel to dosti ka hai,Warna arthi aur baarat ek saman hoti hai….

Pani ka ek katra aankh se gira abhi abhi.. kya tum ne mujko yaad kiya abhi abhi.. tujh se mile zamana hua magar… yun laga koi mujse mil k gaya abhi abhi..

Sham dhali, raat aayi Dil dhadka – Fir Tumhari yaad aayi. Aankho ne mehsus kiya us hawa ko – jo tumhe chukar hamare pass aayi.

Jinhe chahte the hum jaan se jyada,Wo hi humse ab dur huye…Kya kya khawab dekhe the humne,Kuch toot gaye kuch todne par hum mazboor huye…

Juban khamosh aankhon mein nami hain,Yahi ek Dastan-e-Zindagi hai…Yu to har zakham bhar jaate hain,Kaise bharegi wo jagah jahan aap ki kami hai…

Tujhse jab jab milne ki ummeed nazar aayi.Mere paaon me zanzeer nazar aayi….Gir pade aankh se aansu aur,Har aansu mein aapki tasveer nazar aayi…

Pyasi nigaho ne harpal unka dedar manga,Jaise amavas ne har raat chand manga….Ruth gaya woh Khuda bhi humse,Jab humne apni har dua me unka saath manga…

Dosti ke bhi kuch andaaz hote hain,Jagti aankho me bhi kuch khawab hote hain… Zaroori nahi ki gum me aansu nikle,Muskarati aankho mein bhi sailaab hote hain..

Chiraagon ki roshni jab zara hili, laga tumhari ek aahat si mili, jaake dekha jab dar pe, to phir wahi kafir hawa mili..

Pyar ke naam par deewane chale aate hain,Shama ke pichhe parwane chale aate hain…Tum bhi chale aana meri maut pe,Us din to begane bhi chale aate hain…

mehki baharo main tumhe foolo ki tarah dekha hai,baraste sawan main tumhe boondo ki tarah dekha hai,saza rakhe hai jo khawab apni zindagi ki raho main, un raho main tumhe apni dulhan bane dekha hai.

Surakh aankho se woh jab hame dekhte hain,Ham ghabrakar aankhein jhuka lete hain…Kaun milaaye un aankho se aankhein,Suna hai woh aankho se apna bana lete hain…

Is do pal ki zindagi me tanhai kyo hai,Logo ko humse ruswai kyo hai… Is duniya me insaan kam nahi,Phir hamare saath sirf hamari parchai kyo hai…

Mohabbat aisi hai ki chipayi na gayi,Chot dil pe thi isliye dikhayi na gayi…Chahte nahi the un se dur hona,Par duriyan itni thi ki mitai na gayi…

Ek silsile ki umeed thi jinse wahi faasle banate gaye…Hum to paas aane ki koshish me the jane kyo wahi duriyan badate gaye.

Lamha lamha waqt gujar jayega,Pal do pal mein safar kat jayega…Abhi waqt hai do baatein kar lo,Kaun jaane kab tumhari zindagi mein koi aur aa jayega…..

Khushbu ne phool ko ek ehsaas banaya,Phool ne maali ko kuchh khaas banaya… Chahat ne mohabbat ko ek pyaas banaya,Mohabbat ne kitno ko PARO aur DEVDAS banaya…

Hum se puchho kya hota hai pal-pal bitana,Bahut mushkil hota dil ko samjhana… Yeh zindagi bit hi jayegi,Bas mushkil hota hai kuch palo ko bhulana…

Aeisi bewafai ki usne,Mohabbat bhi badnam ho gayi… Apni mohabbat ki itni kimat vasul ki usne,Ki hamari arthi bhi nilaam ho gayi…

Likh sakte kisi ki taqdir agar hum,Teri taqdir mein har khushi likh dete… Jo mod tujhe kamyabi dilaye,Har lakir ko us taraf mod dete….

Haatho se gir gayi Lakiren kahi,Bhul aaye hum apni takdire kahi… Agar tumko mile kahi to utha lena,Mere hisse ki har khushi apne haatho me saja lena….

Mana ke khawab na ban sake teri aankhon ka,Ashq ban ke teri sama jayenge… Mar ke bhi tumse juda na honge,Khak ban ke teri galion mein bikhar jayenge…

Saahil se milkar bhi kinare nahi milte,Dhunde bhi to sahare nahi milte… Jaane woh log hi kyon dil mein utar jaate hain,Aksar jinse kismat ke sitare nahi milte…

Mujhe koi jeene ki hasrat nahi hai,Agar tumko mujhse mohabbat nahi hai… Bhula do yeh rangish ki baatein,Mujhe gam uthane ki aadat nahi hai…

kise apna kha jay sabhi dil tor jate hai sajakar dil ki mahfil ko akela chod jate hai

Sun sako to ek kahani hoon main,Rakh sako to ek nishani hoon main…Paa sako to ek saaya hoon main,Rok na saki jise saari duniya woh ek bund aankh ka paani hoon main…

MILI BAHUT SAJAA USASE DIL LAGANE KI. NAJAR LAG GAYI PYAR KO JAMANE KI….KABRA SE NIKALE HUYE DONO HAATH KEHATE HAIN…. AARJOO RAH GAYEE USE APANA BANANE KI…..!

Hum khak zamien ki ho kar ke ush Chand ki hasrut kar baithe, Woh cheez Khuda se unchi thi hum jisse mohabbat kar baithe….
Aankhou ki gehraayi ko samaj nahi paate, Hoth he magar kuch hum keh nahi paate, Apni dil ki baat kis tarah kahe tumse, Tum wahi ho jinke bina hum reh nahi paateh!:-???
Akela sa mehsus karo jab tanhai mein, Yaad meri aaye jab judai mein, Mehsus karna tumhare hie paas hoon main, Jab chahe mujhe dekh lena aapni Parchai mein.
Is subahki tanhaie se, Is dardki gehrayie se, Ye dil kuch baat kar raha hai… zara Samjho in Fizaoun ki jubanko, Aaj fir tumhe koi yaad kar RAHA HAI
regards
guru prasad
gpkotian.

Comments»

1. Deepesh Binwal - March 23, 2009

really nice boss

2. jalpa - April 12, 2009

very nice sayariesssss

3. Mitesh - January 31, 2010

Kya baat hai

4. Mukesh Chouhan - July 3, 2010

Wah…………
Kya baat hai …
Dil ko chhu gayi aapki shayri,

5. Jani - November 5, 2011

Agar se dil nadan hai, kahe kaise huwa kya hai…
Bade miyan! Zakhmi se puchte ho dawa kya hai..?

6. SONUKHAN - January 13, 2013

Wah kya baat hai bhai aap ki sahyri se to hamari aankho mae aansu aa gye i liked


Leave a comment